Tik Tok Par Views Kaise Badhaye

Aaj Kal Tiktok Per Views Hasil Karna Buhut Mushkil Huta Jaa Raha Hei Kio Ke Tiktok Per Har Din Ke Sath Competition Badhta Jaa Raha Hei Es Liye Ab Tiktok Algorithm Ko Behtar Bana Kar Sirf High Quality Video ko Boost Karta Hei.

πŸ‘‰Niche Mene Tiktok Per Mazedar Tips Share Kei Hei Jis Ke Madad Sei Aap Apni Tiktok Ke Views Badha Sakte HeiπŸ‘ˆ

πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡

Apna Profile Acha Banaye

Sab sei pehle aap apna eik acha sa profile picture lagaye aur eik acha sa description bhi likhe ju aapki content sei related hu.
Aap apna profile pictue mobile mei Picsart,snapseed ya lightroom sei edit kar sakte hei aur computer ya laptop per aap apna picture adobe photoshop ya corel draw sei edit kar sakte hei.

Aap professional profile picture aur achi description kelie hum sei
πŸ‘‰zaidzalmi0@gmail.comπŸ‘ˆper contact kar sakte hei ya es post ke niche comment kare.


Attractive Video Banaye

Apni video ko attractive banaye matlab ke agar aap khud ke video kar rahe hu tu apni aap ko attractive banao saaf hu kar acha haircut karke video banao esa na hu ke video start hune sei pehle hei log apki video ko skip kare.



High Qualitiy Videos Banao

Apni videos ko high quality mei record karo achi mobile sei ya achi camera sei record karo achi mobile sei matlab ye nahi ke iphone x lelo liken aaj kal ju normal budget phone aati hei un sei record karo purani 2MP wali phone sei nahi.

High Quality Videos Kelie Kuch Tips

Best Background:

                               Best Quality videos kelie sab sei pehle zarori hei ke eik acha background hu.Video ke background mei kachra na hu ya bura na lagi apki sath sath background bhi attractive huna zarori hei.

Best Lighting:
                         Best quality video kelie lightning ka acha huna buhut hei zarori hei achi light agar nahi hugi tu achi video kabhi bhi nahi banegi.


Best Camera:


                       Achi video kelie ye baat bhi zarori hei ke achi camera sei video record kare.


Best Video Editing Software:

                                                Achi Quality video kelie achi video editing software ka huna bhi zarori hei achi video editing software ye hei:

Best Video Editing Software for mobile: kinemaster,Powerdirector.


Best Video Editing Software for Computer/Laptop: Adobe Premier Pro,Filmora Wondershare.




Achi Sound Use Kare

                                       Video per zyada sei zyada views hasil karni kelie best music ya koi aur soundtrack ka use karna buhut hei zarori hei aap trending soundtrack per videos banaye liken unique video banaye matlab ke dusro logo ke ideas ko copy nakare balki apni dimag turi sei laga kar 15 secoonds ke eik achi sei story banayi aur video start kare.


Alag Sochi


                    Alag sochi matlab ke agar koi trend chal raha hei tu us trend per tura soch kar apni story banaye.

Example:

                 Jise ke joker ka trend chal raha tha tu joker ke trend ko use karke us soundtrack ko tura mix karke alag video banaye kise last mei wo jaoker ban jata hei tu aaap last mei spiderman ban jao ya kuch acha sa clothing karke kuch aur ban jao aur video ke uper kuch suspence wala text likhu like no joker ya kuch naya dekhu video skip mat karo ya surprise in the end likhu.


Duet Videos Banao


                                Duet video ka feature buhut hei zabardast hei aur log sir duet video bana kar hei hazaro mei followers kuch hei dino mei lei jati hei duet video ka matlab kesi video ko appreciate karna ya us per criticism karna ya challange ko pura ka aur ya reaction karna huta hei.Duet video kelie kesi trending video ko uthaye aur duet achi quality mei bana kar mazi kare.



Popular Hashtags Use Karo

                                                 Har video mei 2-3 popular hashtags use karo har video mei same hashtags use na karo aur esi tarah kuch less popular hashtags bhi use karo jis per videos kam bani hu kio ke tiktok hashtags per kis video per zyada views aur likes hu use hei first page per show karti hei .


Local Hashtags Use Karo

                                             Agar aap kahi ghar sei bahir gayi hu tour per ya kesi restaurant ya parks mei gayi hu tu us jaga,park ya restaurant ka naam bhi hashtags mei use karo.

Daily Video Upload Karo  

                                           Video har roz upload kani ke koshish kar leya karo esa nahi huna chahie ke eik din video upload ke tu dusri din nahi es sei apki profile ko nuqsan hu sakta hei.


Challenges Per Video Banao


                                               Tiktok mei taqreban har din challenges hute hei tu challenges ko dhundo aur un per videos banao challenges ko find karni kelie simple aap challenge ya challenges hashtags ko use kar sakte hu.


Apni Pets Janwaro  Ke Sath Videos Banao


                                                       Tiktok per pets ke sath videos banani walo ko buhut hei acha response mil raha hei tu agar aap ya apki dost ke sath koi pets hei tu unki sath video banao aur tiktok per dalo.


Apni Fans Ke Sath Bani Rahu


                                                 Apni fans ke sath bani rahu daily 10 miunte kam az kam apni fans ke videos dekhu un per comments karo like karo es tarah sei agar apki video per comment hua hei tu usei like karo aur reply karo ye buhut hei zarori hei.


BTS Upload Karo 


                               BTS mean behind the scene jab aap video banati hu tu galtia tu huti hei un galtio ko bhi record kar leya karo agar galti bhi nahi hute tu apni videos ke vlogs banao matlab ke agar aap kesi mountain per videos banani gayi hu tu waha per bhi camera open karlo ke ham yaha aaye hei achi jaga hei ye cheez achi hei ye cheez buri hei es tarah apko content zyada mile ga 1 video mei 10 videos ban jaye gy.


Trending Videos Effects Ko Use Karo


                                                              Aaj kal double exposure wala video effect trending mei chal raha hei esi tarah pechle dino mei big nose wala effect trending mei tha tu usi bhi use kar leya karo.


Collaboration Kar Leya Karo


                                                Aapki freinds hungi,cousins hungi ya apki area mei aur bhi log hungi tu sab mil kar eik dusri ke sath team banao aur alag alag accounts bhi hungi es sei bhi aapko kafi faida huga balki buhut hei zyada faida huga.


Join Social Networks

                                    Tiktok per views barani kelie zarori ye bhi hei ke aap zyada sei zyda social networkds per apni accounts us name per banaye jis name per apni Tiktok ka account banaya hei.
Aur waha per apni videos share kare aur apni account ke link bhi add kare.
Examples of Social Networks
                                                                                                                            Facebook,Twitter,Instagram,Vigovideo,Snapchat ETC.



Logo Sei Comment Karni Ko Kahi


                                                          Video har social network per uplaod kare aur sath hei comment karni ko kahi jab zyada comment aayegi tu apki post zyada logo tak puhunchi gy.Jis sei apki video per views aani ke chances bar jayi gy.


Acha Video Caption Likhe

                                             Apni video ke caption ko sada aur video ke content ke mutabiq likhe aur logo sei follow aur video share karni ki appeal bhi kare.


Tiktok Meetups Attend Kare

                                              Apni city ke tiktok meetups mei zaror jaye kioke es sei apko audience bhi meli gy aur baqi tiktokers sei collaboration ke muqi bhi milegi.


Trending Videos Pei Comment Kare

                                               Apki timeline per jetni bhi videos aati hei trenfing videos un per comment kare aur apni bare mei bhi bataya kare albaatta waha per ye na kahe ke mere account ko follow kare ya mere video ko dekhe kio ke baaz awqat ye spammimg mei bhi aati hei bas sirf ye kahi ke mera naam ye hei aur mei bhi tiktok per video banata hu aur mujhe apki video buhut achi lagi.Es tarah ka comment kar leya kare.



Logo Ko Follow Kar Liya Karo

                                           Tiktok mei pehle apni bhi logo ko follow karna huga jab aap logo ko follow karogy tu log khud apki account mei akar apki videos ko dekhe gy.


Facebook Per Pages Banao

                                         Facebook per pages banao aur apni sari facebook dosto ko invite karo un per videos apni upload karo.
Es tarah aap dusro ke videos like apni freinds ke videos aur cousins ke videos bhi us per upload karo aur unhi bhi kahu ke wo bhi apni pages banayi aur apki videos waha per upload kare videos ke caption mei apna link do aur page ke description mei bhi apni profile ka link do.


Tiktok Facebook Groups Mei Apni Videos Upload Karo

                                      Facebook mei buhut bari bari tiktok ke groups hei ap waha per bhi apni videos upload karo aur apni profile ka link waha per bhi do jin groups mei links post karna mana hu waha per link na dy.

                                πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡

πŸ‘‰Apni Website BanaoπŸ‘ˆ

Aaj kal log kafi samajhdar hei aur wo kesi maashahur person for example apki naam ke domain khared leti hei aur per jab aap apni website banati hu tu apki naam ka domain kesi aur nei leya huta hei ju apko ya tu per hazaro dollars mei lena padta hei aur ya wo ose apni maqasid kelie estimal karti hei.(www.yourname .com) yaad rakhe 19s mei domain name free huti thei liken ab domain name free nahi hute domain name website ka naam huta hei .com .net .org ye sari domain name hei tu eslie agar aap tiktok kar rahe hu aur kal apki videos hit hu jati hei tu apse pehle agar kesi nei wo domain buy karleya hu apki naam ke tu ye apkelie nuqsandeh hugi.

πŸ‘‰Website Ke PaideiπŸ‘ˆ


  • Jab aap tiktok per tura saa famous hu jati hu tu per apko videos banani ke paise milte hei aur apko influencer kaha jaata hei agar mere watches ke company hei tu mei per influencers ko talash karao ga aur unhi kahunga ke etni sao ya etni hazar dollars lelo aur ye watch bhi lelo aur mere watch pehen kar tiktok per video banao aur logo ko bhi es watch ke bari mei batao tu agar apki khud ke website hugi tu apko es tarah ke offers buhut asani sie mil sakti hei un ki nisbat jin ke website nahi hei.😊
  • Aap Amazon,ebay,daraz ya es tarah ke aur shopping stores ke products ke affaliate links ko bhi apni website per share kar sakte hei jis sei apko 10% tak ke commision mil sakte hei .
  • Aap apni website ko google adsense ya kesi aur ad  network ko bhi join karke apni website ko monetize karke laco dollars har mahine kama sakte hei.😊
                                                    πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡πŸ‘‡

πŸ‘‰πŸ‘‰Apni Website Kese Banayi Yaha Click Kare Click HereπŸ‘ˆπŸ‘ˆ